Yeh sal Do hazar Panch ki baat hai , Jab meri Pune mein nayee nayee naukri lagi thi aur mere pas gadi na hone ke karan main City Bus se apne office aana jana karta tha . Pune ko log bag Pensioners ka shehar kahte the is karan subah subah anek buzurg morning walk ke liye nikalte najron ko dikhayi de jate the.
Us din Somwar tha aur production badhane aur target achieve karne ki deadline ke chakkar mein hamein factory mein lamba wakt bitana padta tha , is karan supervisor ne agle 2 mahine 1 ghanta jaldi aane ko kah diya tha.
Bus stop par roz aate jate main ek boodhe ko chadi liye bus kaintezar karte dekha karta wah boodha darasal hamari 21 number ki bus main hi chadhta.
Ek din yun hua ki kisi chunavi rally ke wajeh se sari buses vahan bheji gayi thi. 21 number ki subah 8 baje vali bus nahin aayee aur dusri bas 8:30 ki hi thi. Main yah soch soch kar pareshan hua ja raha tha ki Boss to jaan kha leyga aaj aur latemark padega so alag , shayad salary se bhi kat le. Apne aap ko kosta hua main isi uljhan mein badbada raha tha. Itne mein vah boodha dheme cheeme chalta hua mujhe bus stop ki or aate dikhayi diya.
Bus stop par panhuch kar usne apna rumal nikala aur pasina ponchte hue mujhe dekhne laga
"Kya bat hai beta aaj bade pareshan lag rahe ho , kya tabiyat theek nahi hai " Boodhe ne pas aa kar kaha.
"Koi nahiji...aj Bus deri se chal rahi hain kam par jane ki jaldi hai isliye thodi tension ho rahihai" Maine javab diya.
"Are beta.. isme itna pareshan hone ki kya bat hai? aa jayegi bus" Boodhe ne mujhe samjhaya.
Itne mein Bus aate hue dikhayi di. Jaise hi Bus stop par aakar ruki sab usme pahle chadhne ke liye dhakka mukki karne lage kyunki agli bus ab sidhe 1 ghante baad hi thi.
Kisi tarah ham bus mein chadhne mein safal ho gaye. Boodha buzurgon ke liye arakshit seat par baith gaya aur mujhe bagal mein baithne ka ishara kiya. Main bhi khush ho gaya ki chalo jan chhuti warna paune ghante ka safar khade khade karne ke vichar se hi mujhe tension ho rahi thi.
"Shahar mein naye aaye ho?"Budhe ne pucha "Jee han yahan MIDC mein naukri par hun" Maine baithte hue jawab diya.
"Accha hai... Ghar mein kaun kaun hai?" Boodhe ne utsuktavash pucha "Koi nahi gaanv mein Ma babuji hain magar yahan main akela hun" Maine jawab diya.
"Matlab abhi shadi nahee hui tumhari?" Budhe ne kaha , Mera ab uske bar bar sawal puchne se dimag kharab ho raha tha maine sankshipt mein usko jawab diya "Ji nahin" fir usko adhik bolne ka mauka n dete hue maine uske maze lene ki sochi.
"Waise uncle main apko roz subah dekhta hun aap 21 number ki bus pakadte hain , kya kahin club mein jaate hain " Maine pucha.
"Nahi beta main apni Patni se milne jaata hun" Boodhe ne hans kar javab diya.
"Patni se?" Maine chaunk kar pucha "Maf kijiyega kya wo apke sath nahi rahti?"
"Nahi beta , vah asptal mein bharti hai" Boodhe ne thandi sans chorr kar kaha.
"Kya hua unko?" Maine janna chaha.
"Wah apni yaddasht kho chuki hai use alzhiemers ki bimari hai" Budhe ne udas ho kar jawab diya.
"Alzhiemers? vah kya hota hai?" Maine pucha.
"Is bimari mein mariz ki yaddasht kamzor ho jati hai , is bimari ka koi ilaj nahi , vah mujhe hi nahi hamare bachcho ko bhi nahi pahchanti karib 10 sal se is bimari se vah pidit hai" Unhone jawab diya.
Main hairan rah gaya yah sunkar aur yah jan kar dukh hua ki is bimari ka koi ilaj nahin.
Na rah kar aakhir main us Boodhe se prashn kar hi baitha. Meri jigyasa jaag uthi thi Maine pucha "10 sal se? aur fir bhi aaproz unse milne jate hain"
"Haan beta." Usne kaha.
"Magar kyon??"Maine janna chaha."Kaisa lagta hoga jab ek patni apne pati ko yun pahchanne se inkar kar de?"
"Main use , uske pyar ko kabhi nahin bhul sakta... usne meri grihasti basayee ,zindagi mein mera harkadam par saath nibhaya , mujhe bina kisi shart pyar kiya mere parivar ki har choti se choti avshyaktaon ko pura kiya , main apni naukri ke karan ghar se bahar hi hota tha , is bat ki shikayat na karte hue usne hamare bachchon ko pal pos kar bada kiya, aur unhen padha likha kar achcha insan banaya" Uski yah kahte kahte aankhen nam ho gayi.
Kuch pal yon hi kHamoshi mein beetgaye ,usne apni jeb se jhak safed rumal nikala aur apni aankhen ponchi.
"Yah pen dekhte ho? Maine uska pen hath mein le kar dekha "usne mujhe yah mahnga pen hamari shadi ki salgirah par tohfe mein diya tha lekin maine kabhi use istemal nahin kiya
aaj darajen saf karte hue hi mujhe yah pen mila aaj isi pen se hospital ka form bharte hue mere hath kaanp uthege"
Usne bharrayee awaz mein kaha "Doctor sahab kahte hain ki am naate rishtedaron ko bulwa bhejiye waqt bahut kam hailekin sabhi apni apni zindagi mein magan hain yahan tak ki uske bachche bhi aaj jab vah is hal mein hai to unme se koi uski sudh lene na aaya... hamare bacche apni ma ko uske nisvarth prem ko bhula sakte hain lekin main zindagi ke is mod par kaise use bhula sakta hun use akela chorr sakta hun ? aakhir maine uska sukh dukh mein sath rahne ka vachan jo diya hai , nibhana to padega" usne dhir gambhir awaz mein kaha.
Main yah sun kar awak ho gaya. Maine kaha"Badi khushnasib hai aapki patni jo use aap jaisa itna pyar karne wala pati mila" itne mein Bus hospital ke saamne aa ruki. Uska stop aa gaya tha. Vah boodha haule se bas se niche utra aur chhadi tekta hua andar dakhil hua. Maine hath hila kar use alwida kaha. Bus ek jhatke se chal padi aur main apne vicharon mein magn ho gaya mera man us boodhe ke prati shraddha se bhar gaya aur aankhen chhalak aayee"Uff ye Muhabbat.."