Kaise ho doston yeh meri zindagi ki pehli story hai.Aur kahi kuch galti ho jay toh maaf kardena aur please point the mistakes out so that i can improve as a writer.Is kahani ke sabhi patra kalpnik hai.Zyada waqt barbaad na katey hue kahani pe atta hu.
Yeh kahani aaj sey kuch 20 saal purani hai aur location hai Bombay jo abhi Mumbai ho chuki hai.AAmarjyot co.op.housing society jaha ek taraf kuch 45 families rehti thi 3 15 manzili towers mai modular kitchen terrace swimming pool podium parking attached bathroom with bath tub in every room.Itna samaj lijye ki in towers mai bas sab rais hi rehtey the.Inhi 45 families mai se ek thi Ketan mehta ki family khandani rais baap dada ka transport ka business tha jisko Ketan ne chaugna kar diya tha.Unke saath unki family mai thi unki biwi Lata mehta gharelu aurat jinki bhagwan mai kuch jyada hi shraddha thi.Aur jiski yeh kahani hai Pankaj mehta 19 saal ka gabru nau jawan teekhey nain naksh lambey sidhey baal katila badan aur baap ka paisa matlab ek all inclusive package tha woh.Aaiye ab chaltey hai yahi colony ki dusri taraf jaha woh log rehtey they jinki zameen ko ley ke yeh society banai gayi thi yaha takriban 110 families rehti thi 6 manzili 3 towers mai chottey ghar parking space ki zaroorat kya hai ek bathroom jaha pani sirf din mai char ghantey atta tha.Matlab yaha jo bho rehtey the weh lower middle class k the.Inhi logey sey yeh zameen kharidi gayi thi kaudiyo ke daam.Lekin in logo ke liye woh kaudiya bhi bahot thi.
Barris ke din the Pankaj ek shaam apney doston se milne nikal raha tha apni bullet pe akho pey kala chasma branded jacket baris se bachne ke liye niche mehngi jeans aur jeans se bhi mehngey jhutte.Barish apne pure prabhav mai thi woh society k gate tak pahocha hi tha ki kuch aisa hua ke woh thama ka thama raha gya.Samney se ek kamsin ladki aa rahi thi barish mai bhigti hui jaisey aag laga rahi thi Pankaj ke dil mai.Yeh thi Kajal wahi 110 middle class family mai se ek Mr Rama Iyer ki ek lauti beti .Halka sawla rang patli kamar sweet sa chera perfect 10 figure matlab woh pehley se hi bala thi aur aaj ki barish ne usko bhigo kar jaise aag si laga di thi.Waise toh Mr Iyer ek choti si company mai clerk the iska matlab ki guzarra bhi jaise taise kat ta.Par yeh baat uski beti par usne kabhi nazar nahi ane di Kajal ki padhai se leke sazzo saman tak jo usne manga Mr Iyer ne diya tha uske dil ka tukda jo thi.Waise toh Pankaj ne Kajal ko pehle bhi dekha tha ek hi colony mai rehtey jo they lekin kabhi dhyaan nahi diya .Par aj jo woh bala dha rahi thi ki Pankaj ki nazar ruki ki ruki reh gayi.Kajal ke lambey baal purey bhig gaye the jo salwar kameez usney pehni thi woh barish ki baje uske badan se chipak gayi thi aur uspe char chand laga raha tha uska khoobsoorat chera.Bas Pankaj usey ek taak dekhtey ja raha tha.Gate ke kareeb ate hi Kajal ki nazrey Pankaj se takrayee aur ek pal k liye jaise sara jahan kho gaya tha dono ke liye.Ek bijli ki kadkadhat se dono wapas hosh mai aye. Kajal ne apni nazren jhukai aur sharmatey hue chal di.Chal toh di aur saath Pankaj ka dil bhi leti chali Pankaj ke dil mai ek khushi ki leher daud padi aur woh muskuraya use samaj mai aa gaya tha ki use apna pehla aur akhri pyaar mil chuka hai.Usne apni bullet start ki aur ja pahocha waha pahocye hi ek saas mail chillaya "Friends i am in love ." Uske dost has pade aur boley haan bhai is haftey usney ek bhi item patayi nahi hai toh haak toh banta hai.Pankaj ek aisa ladka tha jise ladkiya patani nahi padti thi ladkiyan samney aa k paat jati thi us sey. Ek toh woh tha hi itna handsome upar se baap ka paisa konsi ladki nahi chahegi yeh deadly combo.Woh girlfriends kapdo ki tarah badlta tha aur uska naam isi liye badnaam tha.Uske doston uska aur mazak udate hue kaha ki uae kabhi sachha pyar nahi ho sakta Pankaj ne lakh manna ne ki koshis ki apne doston ko ki yeh uska sachha pyaar hai lekin uske doston ney ek na suni.Thodi der ke mazak masti aur 3 sutto ke baad sab ghar k liye nikle pure rastey Pankaj ke samne Kajal ka chera aur uski bhigi hui lat mandrati rahi.Ghar pahucha toh waha uske pita ji Ketan uski raah take baithe the.Ketan ne Pankaj ko bataya ki gau mai bade chacha li tabiyat bahit kharab hai aur karobaar k silsiley mai woh ja nahi payengey.Toh use aur uski mummy ko hi janna padega 15 din gau rehney aur chacha ki dekh bhal karney.Pankaj ke toh jaise hosh hi udd gaye sochne laga abhi kal hi pyaar hua hai aur aaj yeh judaai .UFF YEH MOHHABAT.
15 din baad jab woh wapas aya toh pura plan banna liya tha ki kaise woh Kajal ke saath apni sarri zindagi bitayega.Yahi sochtey sochtey woh sham ke 5.30 baje society ke gate pe aa paucha ki shayad usko phir husney didaar ho jaye.Ek ek pal jaise ek saal jitna lamba lagney laga usey.Takriban 10 mins ke baad uskey dil ki dhadkaney tez hone lagi thodi hi dur se use Kajal ate dikhi.Usney socha baat kar hi lu aaj kitna mushkil hoga uske liye jiski sekro gfs thi ab tak.Kajal gate tak pauchi hi thi ki Pankaj uske paas ja paucha aur apna haath agey badhaya aur bola "Hi i am pankaj naam toh suna hi hoga."Usey bharosa tha ki uski yeh style ki Kajal diwani ho jayegi.Par hua kuch ulta Kajal ney usey nazar andaaz kartey hue kaha ki woh awarra ladko se dosti toh dur baat bhi nahi karti.Yeh sun ke Pankaj pehley toh kuch samaj na paya yeh pehli baar tha ki koi ladki use thukra ke chali gayi.Aur woh bhi woh ladki jisey woh beintaha mohabaat karney laga tha.Usne decide kiya ki woh aaj se apni sab aawara gardi chod dega sirf Kajal ka pyaar paana uska ek matra lakshya ho gaya tha.Lekin yeh khabar Kajal tak pauchayeg kaun.Usne bahot socha aur decide kiya ki yeh kaam ke liye Tina hi sahi hogi.Tina Mr & Mrs shah ki choti beti nihayati mamuli dikhti thi aur Kajal ke samne toh woh uski koi ginti hi nahi thi.Pankaj ne socha woh yeh kaam arram se kar sakti hai kyu ki woh pehley wahi lower middle class towers mai rehti thi.Aur kuch 3 saal pehley hi uski building mai shift hui thi. Kyu ki Mr Shah ka pottery business ab chal nikla tha.Tina ki dosti society ke dono taraf ke logo se thi aur woh Kajal ki bachpan ki saheli thi.Aap logo mai se jin logo ne.mobile phones ane ke pehley pyaar kiya hoga unhe yeh yaad hoga ki tab har pyaar mai ek kabootar ya kabootri ki zaroorat padti thi message lane ya le jane ke liye aur is kahani mai yeh kirdar Tina ne nibhaya hai.Pankaj ne badi himmat jutai aur apne dil ka haal Tina se bataya aur usko zyadda hichkichahat bhi nahi hui kyu ki last 3 saal mai un dono ke mata pita mai kaafi acchi dosti ho chuki thi.Tina ne Pankaj ki saari baat suni aur phir thoda muskuraa ke boli tumhara kya bharosa tum toh ladkiyon ke mamle mai kaise ho saari duniya janti hai.Pankaj ne kaha "thik hai toh mai aisa kya karu ki tumhe muj pe yakeen aa jaye aur yahi yakeen tum Kajal ko dilwa sako"Tina muskurayi aur boli janne do tumse nahi hoga.Pankaj ne bola bol ke toh dekh pyaar ke liye jaan bhi hazir hai.Tina ne kaha "Pankaj agar tum mujhe aur mere through Kajal ko yakeen dila na chahtey ho ki tum us sey saccha pyaar karte ho toh chod do yu ladkiyan badal na,ciggratte pina,daru pina aur tumhare un nikaame doston ke saath uthna baithna".Yeh sun ke Pankaj ne socha yeh kuch jyadda nahi ho gaya phir bhi use Kajal ko dikhana hai ki woh use kitna pyaar karta hai.Pankaj ne Tina se promise kiya ki woh yeh sab chod dega toh Tina ne bhi kaha woh use ek mahine tak parkhegi aur agar woh sahi utra parakh pe toh ek mahine baad woh Pankaj ko Kajal se milwayegi
Thik ek mahine baad ek upmarket cafe mai Pankaj baitha hua tha apni ghaddi dekhtey hue aaj ek mahina ho chuka tha uske pyaar ke imtihaan ka aur woh uspe khara utra tha .Last ek.mahine mai na hi usne koi ladkibaazi ki thi na ciggratte pi thi na daru aur dosto se ek baar bhi nahi mila tha.10 minute baad Kajal aur Tina wahi aa gaye aaj bhi Kajal ko dekh uska muh khulla ka khulla hi rah gaya matlab thik usi tarah jaise Kajal ko dekh ke pehli baar uska haal tha.Table pe aate hi dono ladkiyan samne ki chairs pe baith gayi.Aaj Kajal ka andaz kuch alag tha woh has rahi thi Pankaj ko dekh ke uski batton ko nazar andaz nahi kar rahi thi.Tina ne apna kaam bakhubi nibhaya tha.Din bit ne lage aur Kajal aur Pankaj bahut hi acche doat ban gaye.Aur jaise kehtey hai na ki pyaar ka pehla kadam dosti hai woh upmarket cafe wali meeting ke kuch 8 mahine baad Pankaj ne Kajal ko apne dil ki baat boli.Woh 14 Feb ki shaam thi dono samandar kinarey mile the.Kajal lal rang ke dress mai affat dha rahi thi Pankaj ne use ek lal gulab ka boquet dete hue apne dil ki baat batayi.Aur un 8 mahino mai Kajal ne yeh dekh liya tha ki Pankaj us sey beintaha pyaar karta hai aur us key liye kuch bhi kar sakta hai.Usne pehle toh inkaar kar diya dekhna chahti thi ki Pankaj aaj kitna paaka irada kar kar aya tha.Pankaj pe toh jaise Kajal ko pane ka junoon sawar tha usne Kajal ka inkaar ansuna kar diya aur Kajal ka haath apne haath mai leke bola.
" Na jane wo kaun itna haseen hoga..apke haath me jiska naseeb hoga.Koi aapko chahe ye koi badi baat nahi..Jisko aap chaho wo khushnaseeb hoga.Kya woh kushnaseeb mai ban sakta hu."Ab ki baar Kajal se bhi na raha gaya usne ikraar kar liya kyu ki woh bhi toh chahney lagi thi Pankaj ko.Phir kya tha chup chup milne ka jaise ek silsila sa chal pada kabhi film , kabhi samandar ka kinara,kabhi dinner pe , kabhi kahi.Pankaj zamaaney ki saari khushiya samet ke Kajal ko dena chahta tha.Takreeban dedh saal yahi silsila chalta raha.Ek din dono hamesha ki tarah samandar kinare ek dusre ki baho mai bahe dalle baithe the ki achanak kisine zor se Kajal ko apni taraf khicha dono ne mud ke piche dekha toh dono ki aankhen chaundhya gayi.Kajal ko piche khicne wala saksh aur koi nahi Mr Iyer hi the uske pita.Kajal ki halat aisi ki marney pe bhi khun na nikle woh bas ek statue ki tarah khadi rah gayi uske zinda hone ka saboot sirf uske aasu the.Mr Iyer kafi gussey se Kajal ki aur dekhte hue bole " Oh so this is your college and this is what they teach nowadays in college.No wonder your grades are going down."Aur ek thapad Kajal ke gaal par laga diya.