“Oye Rohit….chal tujhe Rajan bhai bula raha hai…”
Rohit apne 3rd floor par bani hui barsaati se nikal kar baahar aaya aur gali me khade hue Raju ko dekha aur rukne ka ishara kiya..thodi der me hi dono Raju ki bike par baithkar rajan bhai ke paas jaa rahe they.
Rohit , Rajan bhai ka khas admi tha,unke kehne par wo har wo gairkanuni kaam kar deta tha jiske badle use paise milte they. Lekin wo ye sab karne ke liye Mumbai nahi aaya tha..kitne dino tak naukri ke liye thokre khaane ke baad rajan bhai ne usko sahara diya aur wo kab gair kanuni kaamo me ulajhta chala gaya usko bhi pata nahi chala..
“oye ruk…thoda ruk ja..” Rohit ne Raju ko bike rokne ka ishara kiya ..wo ek school ke paas they ..
Raju ne kaha “are..lagta hai teri chamiya ke school se nikalne ka time ho gaya hai …hai na..”
“abe chup kar saale…kitni baar bola hai,uske bare me aisa vaisa mat bola kar..” Rohit ne usko ghoor kar dekha aur gurrate hue kaha, Raju uske ravaiyye ko dekhkar chup ho gaya.
Thodi der me hi school ki ghanti baji aur sabhi students baahar nikalne lage..
Aur aakhir Rohit ki najron ne usko dekh hi liya..
Safed shirt aur grey skirt me Jyotsna baahar nikal rahi thi..apni saheliyo se ghiri hui, lambe baal,hansta hua chehra..alhadpan..masumiyat..nashili aankhe..sabhi kuch to tha uske paas, jise dekhkar wo uspar man hi man marta tha, par uski kabhi himmat nahi hui thi uske paas jaakar bolne ki aur kehne ki.
Aur aisa nahi tha ki Jyotsna ye baat nahi jaanti thi, 12th me padne wali jyostsna ko apni aati hui javani ka andaaja tha aur uske agey peeche ghoomne walo ka bhi , school me bhi aur gali me bhi..par wo bas apne husn ko dikha kar apna kaam nikalva leti thi aur apne gang ki leader hone ki vajha se uski saheliya bhi uski is aadat ko badaava deti thi.
“are Jyotsna ..wo dekh …tera aashiq avaara...ha ha..” Jyotsna ki saheli manisha ne Rohit ko dekhte hi usko chedne ki neeyat se kaha.
Jyotsna ne Rohit ko dekha aur mann hi mann muskurayi…aaj 6 mahine ho chuke they aur koi bhi aisa din nahi tha jab Rohit usko dekhne ke liye uske school ke baahar na khada ho..vaise Rohit dekhne me bura nahi tha..par jis tarha ke dhandhe me wo tha, uska pehnaava aur huliya dekhkar koi bhi usko gunda samajh sakta tha.vaise usne apne shahar se graduation puri ki thi.
Aur hamesha ki tarha Jyotsna ka gang uske baaju se hota hua bas stand ki taraf chala gaya ..aur Rohit aur Raju rajan bhai ke adde ki taraf chal diye.
“Itni der kyo hui…?” rajan bhai ka itne gusse wala roop aaj tak Rohit ne nahi dekha tha..
“ji..ji wo bas..” wo hakla kar reh gaya…soch hi nahi paaya ki kya bole..aur tabhi Raju bol pada “rajan bhai..wo iski item hai na school me..usko dekhne ke vaaste khada ho gaya tha school ke baahar…
Rohit ka man to kiya ki Raju ka munh tod de …par wo chup reh gaya.
Rajan bhai ka chehra ye baat sunte hi gambhir ho gaya, wo bole “oye ..Rohit ..ye kya sun raha hu mai ..tu ye ladki baaji ke chakkar me kab se pad gaya ..ye sab hamare dhandhe me nahi chalta..samajh raha hai na ..”
Rohit ne haa me sir hilaya, kuch na bola
Rajan bhai ne uske sir pe haath fera aur pyar se samjhaya “dekh beta, ye hamari duniya alag hai, yahan pyar-mohabbat ke liye koi jagha nahi hai..in sab bandhno me ek baar tum fans gaye to kuch nahi kar paoge..dhakke khana fir sadko pe, jeene ke liye kuch aur karna..”
Rohit ne jyada kuch na aur unki baat suntan raha.
Ant me rajan bhai ne us se kaha “ accha sun, ek kaam aaya hai, Mumbai me ek gold ka container aane wala hai, samundri raaste se, tu apne hisaab se usko nikaal kar apne andheri wale godown me pahuncha dena ..samjha ..mamu gang ke aadmiyo se bacha kar karna ye kaam..baaki baate tujhe ye Raju samjha dega ..aur sun le, ye ladki wali baat mujhe dobara nahi sun ni ..samjha ..”
Aur fir rajan bhai ne unhe jaane ke liye keh diya.
Mamu gang aur Raajan bhai ke gang ke beech purani dushmani thi..shuruwati dino me hue khoon kharaabe ke baad dono ne baith kar ye decide kiya tha ki koi bhi ek dusre ke ilaake me aur kaam me dakhal nahi dega..par dushmani abhi bhi barkaraar thi.
Baahar nikalte hi Rohit ne Raju ki taraf nafrat bhari najron se dekha aur kaha “aaj tune sahi nahi kiya Raju…”
Raju “ Arre…tu roj hi apna time us ladki ki vajha se kharaab karta hai..mere samjhaane ka to tujhpar koi asar hone se raha, isliye maine aaj Rajan bhai ke saamne ye baat boli, varna mujhe kya , tu jo bhi kare, par mujhe pata hai,tujhe us ladki se pyar ho gaya hai, aur Raajan bhai sahi bolte hai, ye pyar-vyar ka chakkar bekaar hai,kahin ka nahi chodega ye tujhe ..”
Rohit uski baate suntan raha aur dono bike par baithkar apne ghar ki taraf chal diye.
Raaste me Raju ki bike ka tayar fat gaya, aur aas paas koi bhi dukaan nahi thi, isliye unhone bike wahin sadak ke kinaare par laga di aur bas pakadkar ghar ki taraf chal diye.
Bus puri bhari hui thi, Rohit aur Raju andar pahunche aur khade ho gaye,
Tabhi Rohit aur Raju ko ladkiyon ke hansne ki avaaj aayi, unhone peeche ki taraf dekha to chonk gaye, Jyotsna aur uski saheliyan usi bas me baithi hui thi..aur shaayad wo ye sochkar ki Rohit aur Raju unka peecha karte hue bas me chhad gaye hai, wo sab khusar-phusar karke hans rahi thi..
Tabhi agle stand se 4-5 gunde type ke ladke bas me chad gaye..jinhe dekhte hi Raju ne apna chehra dusri taraf ghuma liya aur Rohit ka haath daba kar fusfusaya “abe..ye saale yahan kya kar rahe hai..mamu ke gang ke ladke hai ye..udhar mat dekhna..”
Rohit ko pata tha ki mamu gang ke log hamesha unke gang ke logo ko maarne ka plan banaate rehte hai, par kabhi unse paala nahi pada tha uska…
Tabhi mamu gang ka ek ladka Jyotsna ke saath baithi hui Manisha ke saath jaakar khada ho gaya aur apna haath uske haath par rakh diya ..wo ye dekhkar wone lagi..par unke huliye ko dekhkar bus me kisi ki bhi himmat nahi hui ki koi unhe roke ya toke..
Apni saheli Manisha ki aankho se nikal rahe aansuo ko dekhkar Jyotsna se raha nahi gaya aur wo chilla padi “ye kya baddtamiji hai…chhodo iska haath..”
“iska chhodu to tumhara pakdu kya..haan…bol…” wo bhadde dhang se uski taraf dekhkar hansne laga..
Jyotsna ka chehra gusse se laal ho gaya..uska haath ghoomta hua aaya aur usne gunde ke chehre par jor se tamaacha jad diya..
“saali….mujhe maara tune..sultaan ko maara..”
Usne Manisha ka haath chhod diya aur ab Jyotsna ka haath pakad liya..
Rohit tirchhi najron se sab dekh raha tha..aur jab usne Jyotsna ka haath pakda to uska paara chhad gaya aur jaise hi gusse se bhara wo unki taraf jaane laga, Raju ne uska haath pakad liya aur fusfusaya “rehne do Rohit bhai..bekaar me unse panga na lo..Raajan bhai ko pata chal gaya to …soch le..”
Rohit khoon ka ghoont peekar reh gaya..
Jyotsna ki najren Rohit ki taraf hi thi..wo soch rahi thi ki shaayad uska awaara aashiq usko bachaane ke liye agey aayega..par wo nahi aaya aur dusri taraf munh ghuma kar khada raha..ye dekhkar uske man me Rohit ke liye nafrat si bhar gayi aur wo man hi man usko gaaliyan dene lagi..
“Dekho..tum jaante nahi…mere papa police me hai..wo tumhe chhodenge nahi..” Jyotsna ne apna haath chudaane ki asfal koshish ki aur unse kaha..
“ha ha…police me..chal bula apne baap ko…ha ha..hum bhi to dekhe ki kis police wale ki himmat hai humse takraane ki…” sultaan ab Jyotsna ka haath pakad kar kheenchne laga aur apne saathiyon se bola “chalo re..isko apne adde par hi le chalet hai..fir dekhenge ki konsa police wala aata hai isko bachaane..”
Wo sabhi usko ghasit kar baahar ki taraf le jaane lage..tabhi peeche se ek gurrati hui avaaj aayi “haath chhod ladki ka..”
“kon hai be…” sultaan chillaya..
Rohit unki taraf ghooma aur fir se wahi baat dohrayi “haath chhod de ladki ka..varna..”
“varna kya re..kar kya lega tu..” sultaan Rohit ka huliya dekhkar samajh to gaya tha ki wo koi gunda type ka hai..par wo nahi jaanta tha ki Rohit, Raajan bhai ke gang ka hai..Raju apna chehra dusri taraf ghuma kar khada tha abhi tak.
Rohit ka daaya haath ghoomta hua aaya aur sultaan ke kaan par jhannate ke saath pada..
Bus me maujood sabhi log chillakar idhar udhar bhaagne lage..driver ne bus ek kinaare par roki aur sabhi usme se utar ka baahar bhaagne lage. Aur baahar ki taraf bhaagte hue Raju ne chilla kar Rohit se kaha “bhaag Rohit..bhaag..”
Raju ko dekhte hi sultaan samajh gaya ki Rohit aur Raju saath hai aur Rohit bhi rajan bhi ke gang ka hi hai..wo chillaya “abe ye rajan ke londe hai…pakdo inko..bachkar na jaane paaye..”
Aur palak jhapakte hi sabhi ke haatho me raampuri chaaku chamakne lage..
Raju baahar ki taraf bhaag liya..apne dost ko akela chhodkar.
Tabhi Rohit ne apni kamar me chupa hua mouser nikaal liya aur sultaan ki taraf taan kar fir se bola “haath chhod de ladki ka..”
Jyotsna bhi Rohit ke haath me gun dekhkar dar gayi thi..
Sultaan ne apna haath peeche kiya apni gun nikaalne ke liye..aur tabhi Rohit ne trigger daba diya aur sultaan ke haath se uski gun neeche gir gayi aur wo apne haath me lagi goli ki vajha se nikalta hua khoon dekhkar chillane laga…
“Ahhhhhh saale….tujhe pata hai mai kaun hu..tune kispar goli chalayi hai…”
Tab tak Jyotsna bhaagkar Rohit ke peeche aakar chip gayi.
Rohit ne kaha “tu chahe koi bhi ho..par is ladki ki taraf aankh uthakar dekhne wale ko main nahi chhodunga..” aur itna kehte hi uski gun ki agli goli sultaan ki chaati ko cheerte hue dusri taraf se nikal gayi..uske saathi ye dekhkar badhavaas se hokar dusri taraf se neeche utar kar bhaag gaye.
Rohit neeche utra aur Jyotsna ki taraf dekhkar kaha “chalo main tumhe ghar chhod du..”
Wo bechari dari hui si uske saath chal padi..tabhi ped ke peeche chipa hua Raju baahar aaya aur Rohit se chilla kar bola “maine tujhe mana kiya than a..panga nahi lena mamu ke gang se..pata hai wo sultaan uska khaas aadmi hai...”
“hai nahi tha…mar chukka hai wo saala..” Rohit ne Raju ki taraf dekhte hue kaha aur Jyotsna ka haath pakad kar ek texi ko rokne ka ishaara kiya aur wo dono usme baithkar Jyotsna ke ghar ki taraf chal diye.