Aaj ghar aate hue uska dil baitha ja raha tha.use kisi anhoni ka dar sataye ja rhi thi.pata nahi konsi anhoni use nahi maalum par haan ek anjana bhay samaye ja raha tha.wo jaise taise ghar pahuncha uske ghar aate hi uska phone baj utha,jaise koi uske ghar aane ka hi intezaar kar raha tha
"hello",uske phone uthate hi dusri taraf s aawaz aayi jawab me usne bhi "hello" kaha."kya aap mr.pankaj bol rahe ho",dusre taraf se ek parshanatmak aawaz ayi.
"ji haan"usne confirm karte hue kaha."ji,aap abhi jaldi se sarvodya hospital aa jaiye aapke ek dost ki jaan khatre me hai wo aapse milna chahte hai",itna kahte hi dusri taraf se phone kat gaya.wo phone par hello hello karta raha prantu sab vayrth.wo uthkar hospital ki or chal pada.kuch hi der me wo hospital pahunch chuka tha.usne rec. se pucha"kon hai wo".
"koi parmod hai" rec. ne jawab diya.parmod ka naam sunte hi uski aankho me khun utar aaya. Wo piche mudkar wapis jane laga.tabhi piche se ek ladki ki aawaz aayi"suniye"usne piche mudkar dekha"aap hi pankaj ji hai"us ladki ne pucha toh usne haan me gardan hilai,toh us ladki ke chehre pe khusi ki ek lehar daud gayi lekin agle hi pal uske chehre pe dukh ke badal umad pade.wo ladki rone lagi aur kahne lagi"wo aapse milna chahte hai".
pankaj"par main nahi milna chahta usse"."ye unki aakihri ichha hai,kyonki dr. Ne kaha hai wo ab kuch der ke mehman hai"ladki kahte hue bilkul tut si gayi.us ladki ko yu rota dekh use haar manni hi padi.pankaj chalte chalte purani yaado me kho jata hai.jab wo parmod aur Ria bahut ache dost hua karte the.
5 saal pahle
"pankaj,oye pankaj aa raha ya fir main chalu",ek ladka open jeep me baithe 2 chilla raha tha,ye tha parmod pankaj ke bachpan ka dost,jisse pankaj kabhi jaan se jyada pyar karta tha."sorry yaar,wo subah aankh nahi khuli yaar"pankaj ne bhagkar aate hue kaha,"chal,pahle bahut late ho chuke hai".dono chal pade clg ki taraf."hi,chipkali"clg pahunchte hi parmod ne Ria ko chidaya.ria bhi use marne ko aayi.aur wo pankaj ke piche chup gaya.ye dono ke bich aam baat thi.lekin is nokjhonk ka bechari ria kuch aur hi matlab nikal baithi thi.
"pyar karti ho usse toh keh kyu nahi deti use"sham ko ria ko akele canteen me baithe dekh pankaj ne kaha.
"tumhe kya lagta hai maine kabhi kosis nahi ki kai baar isharo me samjhnae ki kosis ki lekin wo bewkoof samjhe bhi,ab ek ladki khud apne muh se thodi na keh sakti hai".
"toh mai kahe deta hu use jakar"pankaj ne kaha."nahi"ria ne use roka"use khud samjhne do".
"ria,dekhna tum jab use pata chalega naa toh wo khud b khud dauda aayega tumhare pass".
Isi tarah din bitte chale gaye.lekin kuch nahi badla,na hi ria ka pyar aur na hi ria aur parmod ke bich ka rishta.kabhi kabhi Ria ko aise dekh kar pankaj ko dukh bhi hota tha.isiliye usne sab kuch parmod ko batane ka faisla kiya.
"parmod,mujhe tujhse baat karni hai"pankaj ne kaha."ok,bol kya kahna hai"parmod ne kaha.
Pankaj"ria loves you"."kya!kya kaha tune".parmod ne chaunkte hue pucha.
"Yes,she loves you from the very first day".
"par main usse pyar nahi karta".
"kyun kya kami hai usme"
"koi kami nami hai usme but i don't luv her".
"tu ek baar kosis karke toh dekh tujhe apne aap usse pyar ho jayega. pyar aisi cheez hai jo apne aap ho jaata hai hum agar apne aap se kosis karein nahin hota"
"main usse pyar nahi kar skta kyonki main kisi aur se pyar karta hu dammit"
tabhi bahar se kuch tutne ki aawaz aati hai.dono ka dhyan bahar jata hai wahan ria khadi thi donoki baat sun rahi thi,uski aankh me aansu the.wo wahan se chali gayi.pankaj uske piche bhaga lekin tab tak wo ja chuki thi.pankaj yaado ke ghere se wapis aata hai wo chalte patmod ke kamre me pahunch chuka hota hai.
"dekho parmod kaun aaya hai"us ladki ne pamod se kaha.parmod ne aankhe khol kar dekha.
"pankaj,mujhe maaf karde yaar"
"main kaun hota hu tujhe maaf karne wala,maafi toh tujhe usse mangni chahiye jiska dil todkar 5 saal ke liye gayab ho gaya tha aur ek baar bhi uski khabar nahi li"
"us din tere jate hi mujhe puja ka phone aaya"
"kaun puja"
"ye hai puja"usne pass baithi ladki ki aur ishara karte hue kaha."yahi hai wo jiske baare me maine tujhe bataya tha,ye raju bhai(sahar ka sabse bada gunda) ki bahan hai us din isne phone pe bataya ki iske bhai ko hamare baare me pata chal gaya tha toh maine aur isne sath me bhagne ka plan banaya.aur hum dono bhag gaye.maine kayi baar sahar wapis aane ki aur tum logo se milne ki kosis ki lekin iske bhai ke gunde hume dhund rahe the isliye hum log chhup gaye. Aaj 5 saal baad jab hum wapas aaye toh unhone hume pehchan liya aur mujh par hamla kar diya,ria kahan hai mai usse bhi mafi mangna chahta hu mai uska bhi gunahgar hu"
"wo toh usi din is duniya ko chhod kar chali gayi thi jis din tumne uske pyar ko thukra diya tha wo ye dukh na sah saki"kahte hue pankaj ki aankhe beh nikli.
"nahiiii ye kya ho gya maine jane anjane uska khun kar diya shayd bhagwan ne mujhe usi ki saza di hai.pankj mujhe vada do ki mere baad puja ka khyaal rakhoge"."thik hai mai vada karta hu".pankaj ne jawab diya.
Wahan se jate hue pankaj yahi soch raha tha ki yahi is pyar ka ant hai ya kuch aur hona chahiye.