Gauri........ jo aab jawani ke dahleez par apna kadam rakh chuki thi....uski umar kareeb 20 saal.... gora rang aur sunder sa mukhda....Jaise sabhi ladkiyon ke kuch armaan, sapne aur khwahishein hoti hain theek usi tarah gauri ke bhi kuch armaan aur sapne they......magar shayad garibi ki wajah se wo apne dil mein un sapnon ko aaj bhi sanjokar rakhi thi....usey bhi maloom tha ki sapne aakhir sapne hote hain......wo kabhi haqeeqat nahin hongey......magar gauri fir bhi apne zindagi se khus thi.....maa baap ke siwa uska is duniya mein aur koi na tha.....baap ka naam shyam umar kareeb 45 saal......wo jyada padha likha to nahin tha magar pass hi ek choti si company mein labour grade par kaam karta tha....
adhey se jyada kamai ke paise wo apne sharab aur juwe mein barbaad kar deta.....magar gauri ko wo apni jaan se jyada chahta tha.....aur chahta bhi kyon na wo uski ek lauti beti jo thi......kehte hain na sharab ki lat insaan ko puri tarah se barbaad kar deti hain.....aaj sharab ke karan shyaam ko apni barbaadi nahin dikhayi de rahi thi....aur na hi usey apni beti ke shadi ki thodi bhi chinta thi.....shyaam ki patni radha roz usey isi baat ki tana deti...magar uspar radha ke baateion ka zara bhi asar nahin padta......gauri ne bhi usey kai baar samjhane ki koshish ki magar wo na mana.....
gauri agar shyam se kuch maang leti to shyam usey mana nahin karta .....wo gauri ki har khwahishon ko zaroor poora karta magar kab aur kitne dinon mein ye usey bhi nahin pata tha......kabhi kabhi to gauri ki choti choti zarooraton ko poora karne mein usey 6 mahine se zyada ka waqt lag jata tha.....aise hi ek shaam gauri apne ghar ke chaukhath ke paas baithi hui thi....aur kisi khyalon mein gum thi....tabhi wahan se ek chudi wala gujara.....wo apne saath hare, laal, peelay sabhi rang birange chudiyan liye hue tha.....gauri ek nazar us chudi wale ko dekhti hain....gauri ke is tarah dekhney se wo chudihaar wahin ruk jata hain aur usey poochta hain- beti kya tumhein inmein se koi chudi chahiye......
jawab mein gauri naa mein apna sir hila deti hain......tabhi wo chudihaar muskura deta hain- le lo beti....ye tumpar bahut khilega khas kar ye hare rang ki chudiyaan.....isey pehan kar tum kisi khubsurat gudiya ki tarah lagogi.....chudiwale ke is tarah kehney par gauri kuch deer sochti hain fir kehti hain- kitne ki hain ye hare kaanch ki chudiyaan....
chudihaar- beti ye thodi mehangi hain....iski keemat 50 rs hai....isey le lo beti ye tum par bahut jachegi....
gauri- magar mere paas to itne paise nahin hain is waqt....aap kabhi fir aayeiyega...aur haan ye hare rang ki chudiyaan kisi aur ko mut becha....der saver isey main hi loongi.....jawab mein wo chudiwala muskura deta hain- nischint raho beti...main isey aab kisi ko nahin doonga....yu samajh lo ki aab ye tumhari amanat hain jo aab mere paas rakhi hain......chahe ye mere paas kitne bhi samay tak rahe.....aab isey main tumhein hi doonga.....fir wo chudi wala wahan se chala jata hain.....
wo apne bapu ka badi hi besabri se intezaar kar rahi thi.....shaam ko uske bapu ghar aate hain.......jaise hi shayam par gauri ki nazar padti hain uska chehra khushi se khil uthatha hain....wo turant apne bapu ke paas jati hain aur wahin unke baju mein jakar baith jati hain.....aur ek tuk apne bapu ko dekhney lagti hain.....gauri ko apni taraf is tarah dekhtey hue shyaam bhi bade pyaar se uske sir par apna haath ferta hain- kya hua beti kuch kehna chahti hain kya mujhse....ya fir teri koi khwahish.....
gauri- bapu mere khatir aap ye sharab peena chodh dijiye.....ye aapko pal pal maar raha hain.....agar aapko kuch ho gaya to main jee nahin pawongi....aapke siwa mera is duniya mein hain hi kaun.....aapko apni beti ka vaasta.....kabhi kahin aisa na ho ki iske wajah se aapko bahut badi keemat chukani padey......chodh do bapu ye sharab issey kewal aapko barbadi hi milega.......jawab mein shyam muskura deta hain aur bade pyaar se apni beti ko apne seenay se laga leta hain........
shyam- chodh dunga beti.....thoda waqt to lagega hi.....aur bata tujhe kuch chahiye.....agar teri koi khwahish ho to......
gauri- haan bapu mujhe hare kaanch ki chudiyaan chahiye....kya tum mere liye wo laa doge.....
shayam- theek hain beti main tere liye zaroor le aawonga....wo....hare kaanch ki chudiyaan.....
waqt gujarta gaya aur humesha wo chudiwala gauri ke paas aata aur usey wo chudi lene ko kehta.....gauri har baar usey dilasa dilati ki wo usey zaroor legi...jawab mein wo chudiwala bhi muskurakar wahan se chup chaap chala jata......aaj poorey 1 maheene beet gaye they magar aaj bhi shyam ke ander koi badlaav nahin aaya tha.......aur na hi wo gauri ke liye aabhi tak chudi khareed kar laya tha....issey jyada paise to wo roz sharab peenay mein kharch kar deta....har shaam gauri apne bapu ke ghar lautney ka intezaar karti magar jab wo apne baap ke khali haathon ko dekhti to uska dil har baar toot jata.....aur uski aankhein fir se num ho jati.....
dheere dheere waqt gujarta gaya aur gauri ke jehan mein wo hare kaanch ki chudiyaan poori tarah se bus gayi thi......yahan tak ki usey aab kuch aacha nahin lagta tha.....wo din raat apne chaukhath par gumsum si khamosh wahin baithi rehti..... na hi wo dhang se khana khati aur na hi uska kisi kaam mein munn lagta......dheere dheere uski tabiyaat bigadney lagi.....magar sharab ke nashe ki wajah se shyam ko kuch dikhayi nahin deta......jab radha ne dekha ki uska pati kuch nahin karney wala to wo apne puraney gehney bech kar kuch paison ka intezaam karti hain aur pass ke kisi aachey se doctor se gauri ka ilaaz karwati hain.....gauri ko agar koi bimari hoti tab to kisi doctor ke pass uska ilaaz hota.....na jaane kitne doctor aaye aur chale gaye magar gauri ki halat mein koi sudhaar nahin hua balki aur uski halat din-ba-din bigadney lagi......
aaj poorey 4 mahine gujar chukey they....aab gauri ki aisi halat ho gayi thi ki wo aab bister se uth bhi nahin sakti thi.....magar kabhi wo apne armaan ko apni maa ke samney nahin jaahir hone di......tabhi wahan ek din ek doctor aaya aur gauri ko dekhkar hi samajh gaya ki iski kisi cheez se chaah hain jiske wajah se ye ladki ki aisi halat hui hain......usney jaate jaate radha se is baat ki jikar ki......usi shaam ko shyam apne kaam se laut kar ghar aaya aur radha ne doctor wali baat uske samney rakh di.....shayam chudi wali baat lagbhag poori tarah se bhool chuka tha......magar baar baar radha ke zor dene par uske dimag mein gauri ke liye hare kaanch ki chudiynon wali baat yaad aa gayi.......wo jhat se apne sir par dono haath rakhkar wahin jameen par baith jata hain......uske bagal mein rakhi sharab ki bottle par jab uski nazar padti hain wo gussey se us bottle ko kaskar jameen par patak deta hain......
shaym ke aankhon mein is waqt aansoon they......wo aaj sharab ki wajah se apni beti ke liye hare kaanch ki chudiyaan lana bhool gaya tha jiska jikra gauri ne ussey 4 mahene pehle kiya tha....aur aaj is sharab ki wajah se uski beti ki ye halat thi......
wo turant gauri ke paas jata hai aur uska matha choom leta hain......gauri ki is waqt aankhein band thi....aur uska shareer poora peela padh gaya tha.....gauri ki dasha dekhkar shyam ke aankhon mein ek baar fir se aansoon chalak padtey hain.....wo apna haath gauri ke sir par bade pyar se fira raha tha- tu fikar mut kar beti....tu sach kehti thi ki ye sharab mujhe ek din barbaad kar dega.....maine aaj tak kabhi tere pyaar ko samjha hi nahin.....ki tere bhi kuch armaan hain kuch sapne hain......apni aankhein khol beti dekh aaj tera ye bapu tere khatir sharab peena humesha ke liye chodh diya hain......
tabhi shyam turant uthatha hain aur bina bataye tezi se ghar ke bahar nikal jata hain.....kareeb 2 ghantey baad jab wo apne ghar par lautata hain tab aaj uske haathon mein wahin hare rang ki kaanch ki chudiyaan thi.....wo aaj bahut khus tha ki ye kaanch ki chudiyaan dekhkar uski beti ka chehra khushi se khil uthega......aur wo aab poori tarah se theek ho jayegi......magar jaise hi wo apne ghar par aata hain apne ghar par bheed dekhkar uske kadam wahin jam jate hain.....
jhat se wo apne ghar ke ander aata hain aur ander ka nazara dekhkar uska kalega kaanp uthatha hain.......wahin samney uski beti safed kapdon mein lipti hui thi......magar aab gauri ki saanein tham chuki thi.....uski maa wahin apni god mein apni beti ko liye ro rahi thi......aaj uskey jism par ek kafan tha.......wo dheere dheere apni beti ke paas aata hain aur apni beti ke galon ko choom leta hain .....
shyam- aankhien kholo beti dekho main tumhare liye aaj hare kaanch ki chudiyaan lekar aaya hoon.......isey pehankar tum kitnai sunder lagogi.....aur shyaam baar baar gauri koapni aankh kholney ko kehta hain......magar gauri to is duniya se bahut door jaa chuki thi...shayad shyam ne wo hare kaanch ki chudiyaan lane mein aaj bahut der kar di thi.....
shayam ke aankhon mein is waqt pachyataap ke aansoon they.....magar aab pachtane se kya hasil hone wala tha......aaj shyaam ko zindagi ke sahi mayney samajh mein aa gaye they.....jo uski beti ne apni jaan dekar usey samjhaye they.....
theek hi to kehti thi gauri ki ek din ye sharab uske ghar ko barbaa kar dega....aaj wo hare kaanch ki chudiyaan bhal hi gauri ne jeetey jee na pehan payi ho magar shayad aab uski aarthi par wo hare kaach ki chudiyaan zaroor shobha badha rahi thi..........ye thi hare kaanch ki chudiyaan jo gauri ke maut par jakar khatam hui thi....................................
*****************The End*******************